Jadeed
nafsiyat bhi ab iss usool ki ahmiyat ko tasleem karti hai yani hum
amooman unn logon ko pasand kartey hain jo humari tarah hun khusoosun
nasal, qaum, mua'ashi aur mua'asharti maqam kay lehaz sey zahir hai
shaadi pasand kay logon kay sath hi ki jati hai.
Khandaan kay nazm o zabt (family discipline)
ko barqaraar rakhney kay liye mia'n biwi mein sey ek ka sarbaraah hona
zaroori hai agar donon bilkul masawi darja aur ikhtiyaraat rakhtey hun
to khandaan badnazmii ka shikar ho jaey ga, chuna'ncha irshad-e-Rabbani
hai: "Mard aurton per qawam (hakim) hain iss bina per kay Allah ney ek
ko doosrey per fazeelat dii hai aur iss bina per kay woh apney amwaal
kharch kartey hain pus jo naek aurtein hain woh shohro'n ki ita'at
karney wali aur unki ghaer mojoodgi mein ba toufeeq-e-Ilahi unn kay
huqooq ki hifazat karney wali hoti hain" (Surah Al.Nisa : 34) yani Allah
ney mard ko aurton per qawam qarar diya hai. Qawam se muraad hai
Provider Sustainer muhafiz, sarbarahkaar, sarbaraahi kay liye mard hi
munasib hai., jo jismani lehaz se aurat se tawana hai, jo masa'il ko hul
karney ki fitri salahiyat rakhta hai. Iss kay dimagh ka wazan ausatan
aurat se 5 ounce zyada hai yani amooman mard jismani aur zehni lehaz se
nisbatan afzal hai. Isi liye khandaan ki sarbaraahi
isey sounpi gaii hai kay woh khandaan ko tahaffuz dey aur uski tamam
zarooriyat ko poora karey aur khandaan ki kifalat karey lehaza ghar mein
hukum bhi usi ka chaley ga.
Iss paragraph ko parh kar ba'az taraqqi pasand khawateen kahein gi
kay ghar per khawand ka hokum chalney ki baat mua'ashrey kay dhakosla
hai, haala'n kay yeh aam usool hai kay jo kisi ki kifalat karey ga (ya
tunkhwa'h dey ga) hukum bhi usi ka chaley ga, kya kabhi aisa hota hai
kay kifalat karney wala apne mulazim ka hukum maaney.Family Discipline
Maghrib
mein chu'n kay aurat aur mard donon kamatey hain donon provider hain
le'haza wahan donon baraber ho saktey hain. America kay ahl e ilm ab yeh
baat tasleem kartey hain kay wahan ghar ki barbaadi ki bari wajah
khawateen ka job karna hai kyun kay jo bhi biwi kamaey gi uska ravaiyya
housewife se bilkul mukhtalif aur amooman jarehana hoga yeh unser bara
fitri hai aap ki beti ya beta jab mua'ashi le'haz se aap per inhisaar
karta hai to uska ravaiyya aur hota hai magar ju'nhi wo kamana shuru
karta hai uska ravaiyya bilkul badal jata hai yeh ek nafsiyati haqeeqat
hai. Islam mein chu'n kay kifalat ki zimmeydaari mard per hai le'haza
ghar ka woh hi hukmaran hoga aur usi ka hukum chaley ga. Humarey haan
ajeeb munafiqat hai kay islam ki jo cheez humari khwahishaat kay khilaf
hoti hai, humein pasand nahin hoti hai hum usey moulviyon ka dhakosla
keh kar radd kar detey hain. Hum mein itni akhlaqi jurrat nahin kay hum
khul kar iska inkaar kar kay mutabadil pasandeeda mazhab ikhtyar kar
lein hum musalmaan bhi kehelwana chahtey hain aur islam kay unn usoolon
per jo humein pasand nahin amal bhi nahin karna chahtey yaqeen karein
inn mein aksaryat unn logon ki hai jo farae'z kay bhi paband nahin.