Importance Of Sex Education - Jinsi Taleem Ki Zaroorat
Mardon ko, aurton ko, bachiyon ko, jawano'n ko, hutta kay boorhon ko bhi aam taaleem ki tarah jinsi taaleem (sex education)
ki zaroorat hai, khusoosan naey shadi shuda couples ko khushgawar
azdwajii zindagi kay liye jinsi taaleem ki sakht zaroorat hai. Magar yeh
taaleem inn ko Quran aur jaded tehqeeq ki roshni mein sha'estigi kay
sath milni chahiyie. Chu'n kay humarey haan iss tarah ka koi intezam
nahin jis ka nateeja yeh hai kay naujawan nasal neem hakeemon, ataiyo'n,
dewaro'n per ishtehaaraat aur ghaer meyari kutub sey jinsi ma'aloomat
hasil karti hai jo kay aksar ghalat, gumraah kun aur tabah kun hoti
hain. Inn ghalat ma'aloomaat ki wajah sey humarey mu'aashrey mein bohut
sey jinsi masail paeda ho chukey hain jo kay normal azdawaji zindagi
mein bohut bari rukawat sabit ho rahey hain, jis ki wajah sey bohut si
shadiya'n naakaam ho jati hain, shohar pagal ho jatey hain aur kuch bey
charey khudkushi kar letey hain.
Jinsi taaleem (sex education) na
sirf azdawaji zindagi ko khushgawar banati hai bul kay iss ki madad sey
jinsi jara'em maslan incest, zina biljabr aur doosrey jinsi gunaah
masaln hum jinsiyat waghaera ko kam kiya ja sakta hai. Jinsi khwahish
(libido) bohut taez aur mu'nh zor hoti hai jo fard ko jinsi gunah aur
jara'em per majboor kar deti hai, iss kay elawa sex education ki madad
sey ahem jinsi masail maslan surat e inzal (premature ejaculation) aur mardana jinsi kamzori (erectile dysfunction) waghaera ka tadaruk bhi kya ja sakta hai.
Maghrib mein jinsi taaleem, ta'aleemi idaro'n
mein dii jati hai magar wahan ta'aleem amooman bacho'n ko zina per
aamaada karti hai. Waisey mahireen ka khayal hai kay bacho'n ko jinsi taaleem
deney kay liye walaedaen sab sey zyada mozoon hain na kay ta'aleemi
idaarey. Baap betey ko aur maan beti ko yeh taaleem dey. Lehaza
walaedaen ko iss hawaley sey zyada sey zyada ma'aloomaat hasil karni
chahiyien ta'kay woh aaney wali nasal ko yeh ilm muntaqil kar sakein.
Sex Education For Children
Magar bacho'n ko sex education
marhala waar milni chahiyien maslan 10, 11 saal kay larkon ko ilm ho
kay sotey mein inn kay penis sey ek khaas qism ka safaed liquid kharij
ho sakta hai jo kay bilkul fitri cheez hai na kay koi beemari. Iss tarah
bachiyon ko to 10 saal ki umer mein yeh ilm ho jana chahiyie kay unn ki
faraj sey khoon nikal sakta hai jo kay baloghat ki alamat hai na kay
koi khatarnaak beemari.
Humarey haan yeh ajeeb baat hai kay log bachon ko jinsi taalem
(sex education) fraham karney ko bura samajhtey hain, hala'n kay yeh
talim deegar ashkaal mein mufassal tor per school, college aur
university ki satah per biology, physiology, anatomy, gynecology aur
psychology kay mazameen kay students ko dii jati hai. Allah ta'ala ney
Quran majeed aur Hazrat Muhammad ney ahadees mein tafseel kay sath yeh
zaroori aur fitri ma'aloomaat fraham kii hain, yani yeh bari ajeeb baat
hai kay jis baat ko Quran aur sahib e Quran bataein hum usey batatey
huey sharmaein. Kya bachon ko paki, na paki kay baarey mein ma'aloomat
nahin milni chahiyien, kya naujawano'n ko yeh ilm nahin hona chahiyie
kay ehtelam (nocturnal ejaculation) aur mubashrat (intercourse) kay ba'ad ghusl farz ho jata hai. Aisi soorat e haal mein ghusl
kis tarah karna hai, kya inn ko yeh ilm nahin hona chahiyie kay qatro'n
kay ikhraj sey ghusl farz nahin hota. Bohut sey naujawan namaz parhney
mein iss liye bhi kotahi kartey hain kay woh inn qatro'n ko paleed
samajhtey hain hala'n kay yeh qatrey napaak nahin hotey. Iss soorat mein
sirf penis ko dho lena aur wuzu kar lena kafi hai. Kya naujawano'n ko
yeh nahin ma'aloom hona chahiyie kay mani
(seminal fluid) koi qeemti cheez nahin aur na hi peeshab pakahnaey ki
tarah napaak hai. Khush mani ko ragerr kar saaf kya ja sakta hai. Isi
tarah kya naujawano'n ko yeh ilm nahin hona chahiyie kay