Pious Woman In Islam
(aisi
aurat) Jisko woh jo hukum dey to woh uss per foran amal karey uski
taraf dekhey to woh uska dil khush kardey, usko qasam dey to woh qasam
ko poora karey aur woh ghayab ho to woh apni asmat aur uss kay maal ki
hifazat karey (ibn-e-maja) Hazrat Muhammad ney ek aur moqa per farmaya "
Uss zaat ki qasam jis kay qabzey mein meri jaan hai, jo shakhs bhi apni
biwi ko bister per bulaey aur woh inkaar karey to Aasmaan wala uss sey
uss waqt tak naraz hota hai jab tak woh apney shohar ko razi na karey"
(bukhari, muslim) Ek doosri hadees mein irshad hai "shohar jab apni biwi
ko apney bister per bulaey aur
woh aaney sey inkaar kar dey to farishtey subah tak uss per la'anat
kartey rehtey hain." (bukhari) Ek aur jagah irshaad farmaya : "shohar
jab apni biwi ko zaroorat kay liye bulaey to woh foran us kay liye hazir
ho jaey, go woh tanoor per bethi ho(roti paka rahi ho)" (tirmazi).
Allah
kay nabi ne biwi ko khawand ki ijazat kay baghair nafli namaz aur nafli
rozey rakhney sey mana farmaya hai. (bukhari) Hazrat Muhammad ney aurat
ko dunya ki behetreen mata'a qarar diya hai, irshaad hai kay sari dunya mata'a hai aur dunya ki behetreen mata'a (Pious Woman) naek bakht aurat hai. (muslim) Pious woman (Naek
bakht aurat) ko jannat ki basharat di gaee hai, Hazrat Muhammad ne
farmaya kay jo aurat paanch waqt ki namaz parhti rahey, ramazan kay
rozey rakhey, apni aabroo bachaey yani paak daaman rahey aur apney
shohar ki ta'abedaari aur farma'n bardaari karti rahey to usey ikhtiyar
hai kay jis darwazey sey chahey jannat mein chali jaey. Ek aur jagah
huzoor ney irshaad farmaya kay jo aurat iss haalat mein mari kay shohar
razi tha woh jannat mein daakhil ho gaee, (tirmazi) ta'ahum gunah kay
kaam mein aurat khawand ka hukum na maney gi.
Husband And Wife In Islam
:
Aurton
ki aksaryat ko apney khawand ki wajah sey mua'ashrey mein buland maqam
milta hai maslan doctor ki biwi, aalim ki biwi, ek crore pati ki biwi,
ek adeeb ki hatta kay ek wazeer ki biwi waghaira ko mua'ashrey mein jo
maqam hasil hota hai iss kay husool mein uska koi khaas kirdaar nahin
hota, magar ba'az auqaat ma'amooli sey ikhtilaaf ki wajah sey aurat
khawand ki na shukri kar guzarti hai yeh na shukri bohut bara gunah hai.
Hazrat Muhammad ney farmaya : meiney aaj (dozakh) ki tarah koi darauni
cheez nahin dekhi, meiney dekha iss mein aurtein bohut hain, logon ney
arz kya ya rasool Allah iss ki kya
wajah hai? Aap ney farmaya : yehi kufr, logon ney arz kya kya Allah sey
kfur? Aap ney farmaya : nahin, khawand ka kufr (na shukri) ahsaan na
man'na. Aurat ka yeh haal hai kay agar tu umar bhar uss kay sath ahsaan
karta rahey phir koi baat tumhari taraf sey unn ki tabyat kay khilaf ho
gaee to bol uthey gi kay meiney kabhi bhi tum sey koi behetri nahin
dekhi (bukhari). Hazrat Sobaan kehtey hain kay Rasool Allah ney farmaya
kay jo aurat bila wajah apney shohar sey talaq chahey, uss per jannat ki
bu haram hai. (ibn-e-maja, ahmed, tirmazi, darmi). Hazrat Muhammad ney
farmaya kay teen tarah kay aadmi aisey hain jin ki na namaz qabool hoti
hai, na koi aur neki manzoor hoti hai, ek wo aurat jis ka shohar uss sey
naraz ho, doosra woh jo nashey mein mast ho, teesra woh musalmaan bhai
jo ek doosrey ko kisi dunyavi wajah sey chortey hain.(ibn-e-maja) Islam
mein mard kay liye sab sey muhatram uski walida hai aur aurat kay liye
uska khawand, donon ki narazgi sey bachna chahiyie.
Suitable Age For Marriage
Shaadi
kay hawaley sey chund cheezon ko malhooz-e-khatir rakhna mufeed hoga
aurat kay liye shaadi ki behetreen umar 20 ta 25 saal hai iss doran mein
paeda honey wali aulaad sehat mand hoti hai, mard kay liye shaadi kay liye behtarin umar
25 ta 27 saal hai waise 30 saal tak bhi theek hai, behter yeh hai
shaadi kay waqt aurat ki umar mard se 5 ta 10 saal choti ho kyun kay
bachon ki paedaesh ki wajah sey aurat ka jism jald dhal jata hai jiski
wajah sey aurat mein kashish kam ho jati hai, agar biwi ki umar
kam hogi to uski jismani kashish zyada der tak barqaraar rahey gi.
Waisey bhi aurat jismani aur zehni le'haz sey mard ki nisbat jald mature
ho jati hai larki ki umar kisi bhi tarah larkey sey zyada nahin honi
chahiyie.
Mangni
aur shaadi kay darmyan zyada lamba arsa nahin hona chahiyie, zyada sey
zyada ek saal ka waqfa ho agar darmyani waqfa zyada lamba ho to donon
khusoosan mard shadeed jhunjhalahat ka shikar ho jata hai. Shaadi ki date taey kartey waqt haez (menses) ka bhi zaroor dhayan rakha jaey aisa na ho kay shaadi kay ek aadh din baad maahwaari shuru
ho jaey, iss sey khawand shadeed jismani tanau ka shikar hoga le'haza
shaadi ki date maahwaari kay 8 din ba'ad ki rakhi jaey taa kay donon
mian biwi mubashirat sey bharpoor lutf andoz ho sakein. Haez (menses)
kay foran ba'ad aurat kay jinsi jazbaat amooman madh'dham par jatey hain
inn dinon iski tabyat mein chirchira pan, afsurdagi aur bey chaeni
paeda ho jati hai.
Shaadi
dhoom dhaam sey honi chahiyie taa kay har kisi kay ilm mein ho kay
'uski' shaadi ho gaee hai. Irshad-e-nabvi hai kay :"Nikah ka ailaan
masjid mein karo aur iss per duf peeto (kay khoob ailaan ho)" (tirmazi)