Islam mein khufya shaadi sey mana kya gaya
hai, ba'az fuqha'a kay nazdeek khufya shaadi zina kay baraber hai.
Hazrat Muhammad ka irshaad hai kay halal-o-haram mein hadd e faazil
nikah ki shuhrat aur duf hai. (tirmazi)
Shaadi
kartey waqt iss cheez ka bhi dhayan rakha jaey kay donon mian biwi kay
qad chotey na hun aisi surat mein usool e wirasat kay mutabiq aksar
bachon kay qad chotey honge jis ki wajah sey yeh bachay ehsaas e kamtari
ka shikar ho jaengey aur bachiyon ki shadiyon mein masa'il paeda
hongay, yani donon mein sey ek ka qad laziman lamba hona chahiyie. Iss
tarah donon mian biwi kay rung bhi zyada sa'nwley nahin honey chiahiyien
iss surat mein bhi usool-e-wirasat kay tehet aksar bachon kay rung
sa'nwley hongey aur yeh becharey ehsaas-e-kamtari mein mubtala ho
jaeingey mazeed bar aa'n larkiyon ki shaadi mein diqqat paesh aaegi
chuna'ncha behter yahi hai kay mian biwi mein sey ek ka rung zaroor gora
hona chahiyie.
Intercourse - Mubashrat
Shaadi ki bunyad mubashrat
hai magar humarey haan aksar log iss ki alif bay sey bhi waqif nahin
yaqeen karein kuch logon ko to yeh bhi ma'aloom nahin kay mubashrat
kahan hoti hai woh exact jagah konsi hai? Iss silsilay mein humari
khawateen ki ma'aloomaat to na honey kay baraber hain jis ki wajah sey
woh azdwajii zindagi sey bharpoor andaaz sey lutf andooz nahin hotiin
bul kay aksar to shadeed jhunjhalahat (frustration) ka shikar hoti rehti
hain.
Humarey haan amooman mubashrat
ko achi cheez nahin samjha jata jis ki wajah sey aksar khawateen jinsi
amal mein bharpoor shirkat aur ta'awwun nahin kartiin nateejatan woh
khud bhi aksar auqaat azdwajii lutf sey mehroom rehti hain aur khawand
bhi bharpoor jinsi sukoon aur lutf hasil nahin kar pata. Haala'n kay
islam mein shadi kay ba'ad mubashrat koi na pasandeeda
cheez nahin bul kay Allah kay nabi ney mubashrat ko naekii aur sadqa
qaraar diya hai jis ka sawab milta hai.(muslim) aur agar biwi ta'awwun
na karey to woh gunah ki murtakib hoti hai. (bukhari)
Aksar khawateen kay nazdeek mubashrat
ek takleef deh cheez hai aur woh iss se khauf zada hoti hain chuna'ncha
mubashrat kay iss khud saakhta khauf ki wajah se inn ka jism tann aur
akar jata hai, khusoosan faraj (vagina) kay muscles tann jatey hain jis
ki wajah se mubashrat ka amal takleef deh ho jata hai.