Pehli Mubashrat Kay Masail
Mardon Kay Masail
Shadi kay hawaley sey mardon ka ahem tareen masla mubashrat (
intercourse)
mein naakami ka khauf hota hai. Insan ghalat tor per samajhta hai kay shayad woh shaadi kay qabil nahi aur
mubashrat (intercourse)
nahi
kar sakey ga. Insan jaisey sochta hai waisey hi hojata hai. Iss soorat
mein iss khauf ki wajah sey amooman insan ko mubashrat kay liye matlooba
tanau (erection) nahi hota jis ki wajah sey dakhool na mumkin
hojata
hai. Iss soorat mein awwal to tanau (erection) hota hi nahi, ya phir
bohut hi mamooli hota hai. Teesri soorat yeh hoti hai kay isey tanau
(erection) bilkul theek hota hai magar dakhool kay waqt yakdam khatam
hojata hai jis ki wajah sey insan sharminda aur pareshan hojata hai.
Jawani mein yeh masla taqreeban kabhi jismani nahi hota. Agar aap ko
kisi bhi waqt khusoosan subha kay waqt tanau (erection) hota hai to aap
bilkiul normal hain aap ka masla nafsiyati hai. Sex kay hawaley sey
hamari society mein pheli hui bey shumaar ghalat baaton (jin mein sey
ahem ka zikar book kay shuru mein mojood hai) ki wajah sey aksar
naujawan apney aap ko ghalat tor per mardana kamzori ka shikar samajh
letey hain. Inhein khauf hota hai kay woh mubashrat (intercourse)
mein nakam hojaein gey inn khadshaat aur khauf ki wajah sey insan mubashrat (intercourse)
mein nakam hojata hai aisi soorat mein aap bilkul pur sukoon rahein. 2 weeks kay liye mubashrat (
intercourse) naa karein magar rozana foreplay karein. Bharpoor tanau (erection) ki soorat mein bhi
mubashrat (intercourse)
sey
bachein. InshaAllah 2 week baad aap ka masla khatam hojaey ga. Basorat
deegar kisi achey mahir e nafsiyat sey raabta karein. Waisey iss book
mein iss masley ka hal mojood hai. Iss sey faida uthaien.