Le'haza aurat ko bharpoor muhabbat hasil karney kay liye bharpoor sex muhayya karni hogi. Ghareloo jhagro'n ki ek bohut bari
wajah aurat ka mard ko bharpoor sex ka muhayya na karna hai, mard unn
aurton kay shaeda'ee hotey hain jo unko bharpoor sex deti hain aur kabhi
inkaar nahin kartiin.
Amooman
khayal kya jata hai kay zyada mubashrat sehat kay liye nuqsan deh hai
jab kay haqeeqat bilkul iss kay ulat hai, aurton mein jinsi hormones ki zyada miqdaar aurat ki haddiyon ko mazboot karti hai jo kay menopause
mein patli ho jati hain aur inn kay tootney ka khatra barh jata hai,
iss kay elawa Estrogen ki zyada miqdaar khawateen ko dil kay masa'il sey
bhi bachati hai aur zindagi ko khushi ka ehsaas deti hai. Baqaeda sex
ki wajah sey aurat san yaas (menopause) kay bohut sey masa'il sey buch
jati hai jis ka tafseeli zikar "burhapa aur jinsi zindagi" waley baab mein aaey ga.
Regular Sex And Hormones Level
Humarey haan taqreeban tamam biwia'n sexually active
(jinsi amal mein fa'aal) kirdar ada nahin kartiin kabhi pehel nahin
kartiin, jinsi amal kay doran woh ek zinda laash ki tarah bey hiss pari
rehti hain jo kuch karna hota hai mard hi karta hai, khawateen to apney
jinsi lutf ka izhaar bhi nahin kartiin. Aisi surat
mein khawand manzil to ho jata hai magar sex sey lutfandoz nahin ho
pata yani usko bharpoor sex nahin milti jiski wajah sey woh biwi ko
bharpoor mohabbat nahin dey pata. Shayad khawateen ka khayal hai kay agar woh sexually active
(jinsi fa'aal) hongi to khawand unko pasand nahin karey ga haqeeqat yeh
hai kay aksar mard unn aurton ko pasand kartey hain jo jinsi amal mein
fa'aal (sexually active) kirdaar ada karti hain aur khawand ko batati hain kay woh unkay sath sex sey lutf andoz hoti hain.
Regular Sex And Hormones Level
Doosri taraf regular sex mard kay liye bhi mufeed hai uska testosterone level bhi buland ho jata hai jo mard ki jinsi khwahish aur erection (tana'u)
kay liye zaroori aur mufeed hai, iss ki wajah sey fard zyada taqatwer
aur pur aetmaad mehsoos karta hai aur jinsi amal ko umar ki aakhri hudd
tak jari rakh sakta hai. Yaad rahey kay jinsi khwahish aur tana'u ka
ta'alluq jinsi hormone kay sath hai estrogen aur testosterone kay level
ko barqaraar rakhney kay liye haftey mein 2 baar mubashrat mufeed aur
zaroori hai. Research batati hai kay orgasm
bunyadi tor per aurat ki sehat kay liye mufeed hai, waisey bhi jinsi
amal sawab ka baa'iss hai phir iss sawab kay husool mein kanjoosi kyun?
Ta'hum jinsi amal sirf mubaashirat nahin jinsi sukoon ko mubashrat kay
elawa doosrey tareeqo'n sey bhi haasil kya ja sakta hai jis ka tafseeli
zikr "jinsi sukoon kay matabadil tareeqey" waley hissey mein hoga.
Humarey
haan amooman larkey larkiyan donon apni khalwat ki baatein doosrey
logon ko bata dete hain haala'n kay Allah kay nabi ney khalwat ki
baatein doosron ko batane sey sakhti sey mana'a farmaya hai. Islam mein
yeh bilkul haram hai.