Download Urdu Pdf

Family Discipline - Khandaan Ka Nazm o Zabt

 Jadeed nafsiyat bhi ab iss usool ki ahmiyat ko tasleem karti hai yani hum amooman unn logon ko pasand kartey hain jo humari tarah hun khusoosun nasal, qaum, mua'ashi aur mua'asharti maqam kay lehaz sey zahir hai shaadi pasand kay logon kay sath hi ki jati hai.
    Khandaan kay nazm o zabt (family discipline) ko barqaraar rakhney kay liye mia'n biwi mein sey ek ka sarbaraah hona zaroori hai agar donon bilkul masawi darja aur ikhtiyaraat rakhtey hun to khandaan badnazmii ka shikar ho jaey ga, chuna'ncha irshad-e-Rabbani hai: "Mard aurton per qawam (hakim) hain iss bina per kay Allah ney ek ko doosrey per fazeelat dii hai aur iss bina per kay woh apney amwaal kharch kartey hain pus jo naek aurtein hain woh shohro'n ki ita'at karney wali aur unki ghaer mojoodgi mein ba toufeeq-e-Ilahi unn kay huqooq ki hifazat karney wali hoti hain" (Surah Al.Nisa : 34) yani Allah ney mard ko aurton per qawam qarar diya hai. Qawam se muraad hai Provider Sustainer muhafiz, sarbarahkaar, sarbaraahi kay liye mard hi munasib hai., jo jismani lehaz se aurat se tawana hai, jo masa'il ko hul karney ki fitri salahiyat rakhta hai. Iss kay dimagh ka wazan ausatan aurat se 5 ounce zyada hai yani amooman mard jismani aur zehni lehaz se nisbatan afzal hai. Isi liye khandaan ki sarbaraahi isey sounpi gaii hai kay woh khandaan ko tahaffuz dey aur uski tamam zarooriyat ko poora karey aur khandaan ki kifalat karey lehaza ghar mein hukum bhi usi ka chaley ga.
    Iss paragraph ko parh kar ba'az taraqqi pasand khawateen kahein  gi kay ghar per khawand ka hokum chalney ki baat mua'ashrey kay dhakosla hai, haala'n kay yeh aam usool hai kay jo kisi ki kifalat karey ga (ya tunkhwa'h dey ga) hukum bhi usi ka chaley ga, kya kabhi aisa hota hai kay kifalat karney wala apne mulazim ka hukum maaney.

Family Discipline
 Maghrib mein chu'n kay aurat aur mard donon kamatey hain donon provider hain le'haza wahan donon baraber ho saktey hain. America kay ahl e ilm ab yeh baat tasleem kartey hain kay wahan ghar ki barbaadi ki bari wajah khawateen ka job karna hai kyun kay jo bhi biwi kamaey gi uska ravaiyya housewife se bilkul mukhtalif aur amooman jarehana hoga yeh unser bara fitri hai aap ki beti ya beta jab mua'ashi le'haz se aap per inhisaar karta hai to uska ravaiyya aur hota hai magar ju'nhi wo kamana shuru karta hai uska ravaiyya bilkul badal jata hai yeh ek nafsiyati haqeeqat hai. Islam mein chu'n kay kifalat ki zimmeydaari mard per hai le'haza ghar ka woh hi hukmaran hoga aur usi ka hukum chaley ga. Humarey haan ajeeb munafiqat hai kay islam ki jo cheez humari khwahishaat kay khilaf hoti hai, humein pasand nahin hoti hai hum usey moulviyon ka dhakosla keh kar radd kar detey hain. Hum mein itni akhlaqi jurrat nahin kay hum khul kar iska inkaar kar kay mutabadil pasandeeda mazhab ikhtyar kar lein hum musalmaan bhi kehelwana chahtey hain aur islam kay unn usoolon per jo humein pasand nahin amal bhi nahin karna chahtey yaqeen karein inn mein aksaryat unn logon ki hai jo farae'z kay bhi paband nahin. 
 
    Ek taraf mard sey farmaya gaya hai kay woh biwi ki kifalat karey aur uss sey acha sulook karey chuna'ncha irshad-e-nabvi hai " tum mein behetreen woh hai jo apni biwiyon kay liye behetreen saabit ho". Doosri taraf aurat se farmaya gaya kay woh khawand ki farma'n bardaari karey aur uski khushi ka khayal rakhey, chuna'ncha Hazrat Abu Omama kehtey hain kay nabi pak ne farmaya kay Khuda ka momin banda khuda sey taqwa kay ba'ad jo cheez sab sey behter apney liye intikhaab karta hai woh naek bakht aurat hai.