Download Urdu Pdf

Love Marriage - Arrange Marriage

Shaadi sey pehley donon afraad apni shakhsiyat ka behetreen pehlu samney latey hain le'haza donon ek doosrey ki khoobiyon sey aagah hotey hain magar shaadi kay baad mehboob kay liye mushkil ho jata hai kay woh apni shakhsiyat ka sirf roshan pehlu hi samney laey iss liye kuch arsey ba'ad mehboob ki shakhsiyat kay taareek pehlu bhi samney aaney lagtey hain kyun kay mehboob ek insaan hai le'haza woh bhi aam insaanon ki tarah khoobiyon aur khamiyon ka majmoo'aa hota hai waisey bhi aankhon sey ishq ki patti utarney kay ba'ad mehboob ki ma'amooli khaamiya'n bhi numaya ho kar nazar aaney lagti hain iss tarah shaadi kay kuch arsey ba'ad mohabbat ka yeh taj mahal dharraam sey zamee'n bos ho jata hai.


       Doosri taraf khandaan ki taraf sey taey shuda shaadyion ki nakaami ki sharah bohut hi kam hai humarey apney bohut barey khandaan mein talaq ki sharah 3% sey zyada nahin magar iss tarah ki shaadiyon mein ek qabahat hai kay inn mein amooman larkey larkii ki pasand aur na pasand ka khayal nahin rakha jata hai .(mohabbat aur pasand mein farq hai) jab kay Quran majeed mein irshaad hai kay "Nikah karo jo tumhey pasand aaein, aurton sey do, do aur teen teen aur char char aur agar yeh khauf ho kay insaaf na kar sako gey to ek sey" (Surah Al.Nisa : 3)
       Islam mein shaadi kay liey larki ki razamandi zaroori hai taa'hum iss kay sath wali ki ijazat bhi zaroori hai. Allah kay nabi kareem ka bhi irshaad hai, "Aurton ko unn ki pasand kay shohro'n se nikah karao" (Hakim) Huzoor ney nikah sey pehley aurat ko dekh leney ka hukum diya hai ya kam az kam mashwara diya hai. (Ibn-e-maja, abu daud, tirmazi, muslim, masnad-e-ahmed)

Love Marriage In Islam
 Chuna'ncha irshad hai jab tum mein sey koi shakhs kisi aurat ko nikah ka paeghaam dey to usey dekh lena chahiyie kay aaya us mein koi aisi cheez hai jo us ko us aurat sey nikah ki raghbat dilaney wali ho. (abu daud)
    Quran o sunnah donon sey ma'aloom hota hai kay shaadi pasand ki ho, larka larki ko achi tarah dekh ley iss tarah woh larki bhi larkey ko dekh ley gi magar donon ko alaehda milney ki ijazat nahin. (mishkaa't)
    Hazrat Muhammad kay iss hukum ya sifarish kay larka, larki ko dekh leney ki hikmat ab jadeed nafsiyat kay ilm ki roshni mein waa'zeh tor per samajh mein aati hai . Tamam mahireen iss baat per muttafiq hain kay mard aurat ko us kay husn, zahiri shakl o surat aur jismani saakht ki wajah sey pasand karta hai taa'hum har fard ka husn ka mayar mukhtalif hota hai. Jab kay aurat zahiri husn aur shakl o surat ko zyada ahmiyat nahin deti bul kay aurton kay liye mard ka paesha aur mua'asharti maqam (status) shaadi mein markazi kirdaar ada karta hai. Le'haza agar larka larki ko dekhna chahey to iss per nabi ka hukum samajh kar amal kiya jaey aur larkey ko larki dekhney ka moqa'a diya jaey, humarey haan ajeeb munafiqat hai, larkiyaan sara din bazaron mein bey parda phirti hain aur unko har koi dekhta hai magar jab mangetar larki ko dekhney ki khwahish ka izhar karey to amooman isey ghaer akhlaqi harkat qarar dey kar inkaar kar diya jata hai.
    Iss kay elawa sharee'at nikah kay muamley mein kifayat (humsari aur barabri) ko malhuz e khatir rakhna pasand karti hai yani nikah apney baraber aur hum palla logon mein ho donon khandaani, nasli, qaumi, maali aaur mua'asharti lehaz se baraber hun. Donon ek qabeeley se hun ya mukhtalif qabeelon se magar phir bhi hum palla hun.