Download Urdu Pdf

Sexually Active Women - Jinsi Amal Mein Fa'aal Aurat

Le'haza aurat ko bharpoor muhabbat hasil karney kay liye bharpoor sex muhayya karni hogi. Ghareloo jhagro'n ki ek bohut bari wajah aurat ka mard ko bharpoor sex ka muhayya na karna hai, mard unn aurton kay shaeda'ee hotey hain jo unko bharpoor sex deti hain aur kabhi inkaar nahin kartiin.

    Humarey haan taqreeban tamam biwia'n sexually active (jinsi amal mein fa'aal) kirdar ada nahin kartiin kabhi pehel nahin kartiin, jinsi amal kay doran woh ek zinda laash ki tarah bey hiss pari rehti hain jo kuch karna hota hai mard hi karta hai, khawateen to apney jinsi lutf ka izhaar bhi nahin kartiin. Aisi surat mein khawand manzil to ho jata hai magar sex sey lutfandoz nahin ho pata yani usko bharpoor sex nahin milti jiski wajah sey woh biwi ko bharpoor mohabbat nahin dey pata.  Shayad khawateen ka khayal hai kay agar woh sexually active (jinsi fa'aal) hongi to khawand unko pasand nahin karey ga haqeeqat yeh hai kay aksar mard unn aurton ko pasand kartey hain jo jinsi amal mein fa'aal (sexually active) kirdaar ada karti hain aur khawand ko batati hain kay woh unkay sath sex sey lutf andoz hoti hain. 

    Amooman khayal kya jata hai kay zyada mubashrat sehat kay liye nuqsan deh hai jab kay haqeeqat bilkul iss kay ulat hai, aurton mein jinsi hormones ki zyada miqdaar aurat ki haddiyon ko mazboot karti hai jo kay menopause mein patli ho jati hain aur inn kay tootney ka khatra barh jata hai, iss kay elawa Estrogen ki zyada miqdaar khawateen ko dil kay masa'il sey bhi bachati hai aur zindagi ko khushi ka ehsaas deti hai. Baqaeda sex ki wajah sey aurat san yaas (menopause) kay bohut sey masa'il sey buch jati hai jis ka tafseeli zikar "burhapa aur jinsi zindagi" waley baab mein aaey ga.

Regular Sex And Hormones Level

 Doosri taraf regular sex mard kay liye bhi mufeed hai uska testosterone level bhi buland ho jata hai jo mard ki jinsi khwahish aur erection (tana'u) kay liye zaroori aur mufeed hai, iss ki wajah sey fard zyada taqatwer aur pur aetmaad mehsoos karta hai aur jinsi amal ko umar ki aakhri hudd tak jari rakh sakta hai. Yaad rahey kay jinsi khwahish aur tana'u ka ta'alluq jinsi hormone kay sath hai estrogen aur testosterone kay level ko barqaraar rakhney kay liye haftey mein 2 baar mubashrat mufeed aur zaroori hai. Research batati hai kay orgasm bunyadi tor per aurat ki sehat kay liye mufeed hai, waisey bhi jinsi amal sawab ka baa'iss hai phir iss sawab kay husool mein kanjoosi kyun? Ta'hum jinsi amal sirf mubaashirat nahin jinsi sukoon ko mubashrat kay elawa doosrey tareeqo'n sey bhi haasil kya ja sakta hai jis ka tafseeli zikr "jinsi sukoon kay matabadil tareeqey" waley hissey mein hoga.
    Humarey haan amooman larkey larkiyan donon apni khalwat ki baatein doosrey logon ko bata dete hain haala'n kay Allah kay nabi ney khalwat ki baatein doosron ko batane sey sakhti sey mana'a farmaya hai. Islam mein yeh bilkul haram hai.