Download Urdu Pdf

urdu jinsi taleem

Importance Of Sex Education - Jinsi Taleem Ki Zaroorat

 Mardon ko, aurton ko, bachiyon ko, jawano'n ko, hutta kay boorhon ko bhi aam taaleem  ki tarah jinsi taaleem (sex education) ki zaroorat hai, khusoosan naey shadi shuda couples ko khushgawar azdwajii zindagi kay liye jinsi taaleem ki sakht zaroorat hai. Magar yeh taaleem inn ko Quran aur jaded tehqeeq ki roshni mein sha'estigi kay sath milni chahiyie. Chu'n kay humarey haan iss tarah ka koi intezam nahin jis ka nateeja yeh hai kay naujawan nasal neem hakeemon, ataiyo'n, dewaro'n per ishtehaaraat aur ghaer meyari kutub sey jinsi ma'aloomat hasil karti hai jo kay aksar ghalat, gumraah kun aur tabah kun hoti hain. Inn ghalat ma'aloomaat ki wajah sey humarey mu'aashrey mein bohut sey jinsi masail paeda ho chukey hain jo kay normal azdawaji zindagi mein bohut bari rukawat sabit ho rahey hain, jis ki wajah sey bohut si shadiya'n naakaam ho jati hain, shohar pagal ho jatey hain aur kuch bey charey khudkushi kar letey hain. 

    Jinsi taaleem (sex education) na sirf azdawaji zindagi ko khushgawar banati hai bul kay iss ki madad sey jinsi jara'em maslan incest, zina biljabr aur doosrey jinsi gunaah masaln hum jinsiyat waghaera ko kam kiya ja sakta hai. Jinsi khwahish (libido) bohut taez aur mu'nh zor hoti hai jo fard ko jinsi gunah aur jara'em per majboor kar deti hai, iss kay elawa sex education ki madad sey ahem jinsi masail maslan surat e inzal (premature ejaculation) aur mardana jinsi kamzori (erectile dysfunction) waghaera ka tadaruk bhi kya ja sakta hai.
    Maghrib mein jinsi taaleem, ta'aleemi idaro'n mein dii jati hai magar wahan ta'aleem amooman bacho'n ko zina per aamaada karti hai. Waisey mahireen ka khayal hai kay bacho'n ko jinsi taaleem deney kay liye walaedaen sab sey zyada mozoon hain na kay ta'aleemi idaarey. Baap betey ko aur maan beti ko yeh taaleem dey. Lehaza walaedaen ko iss hawaley sey zyada sey zyada ma'aloomaat hasil karni chahiyien ta'kay woh aaney wali nasal ko yeh ilm muntaqil kar sakein. 

Sex Education For Children
 Magar bacho'n ko sex education marhala waar milni chahiyien maslan 10, 11 saal kay larkon ko ilm ho kay sotey mein inn kay penis sey ek khaas qism ka safaed liquid kharij ho sakta hai jo kay bilkul fitri cheez hai na kay koi beemari. Iss tarah bachiyon ko to 10 saal ki umer mein yeh ilm ho jana chahiyie kay unn ki faraj sey khoon nikal sakta hai jo kay baloghat ki alamat hai na kay koi khatarnaak beemari.  

    Humarey haan yeh ajeeb baat hai kay log bachon ko jinsi taalem (sex education) fraham karney ko bura samajhtey hain, hala'n kay yeh talim deegar ashkaal mein mufassal tor per school, college aur university ki satah per biology, physiology, anatomy, gynecology aur psychology kay mazameen kay students ko dii jati hai. Allah ta'ala ney Quran majeed aur Hazrat Muhammad ney ahadees mein tafseel kay sath yeh zaroori aur fitri ma'aloomaat fraham kii hain, yani yeh bari ajeeb baat hai kay jis baat ko Quran aur sahib e Quran bataein hum usey batatey huey sharmaein. Kya bachon ko paki, na paki kay baarey mein ma'aloomat nahin milni chahiyien, kya naujawano'n ko yeh ilm nahin hona chahiyie kay ehtelam (nocturnal ejaculation) aur mubashrat (intercourse) kay ba'ad ghusl farz ho jata hai. Aisi soorat e haal mein ghusl kis tarah karna hai, kya inn ko yeh ilm nahin hona chahiyie kay qatro'n kay ikhraj sey ghusl farz nahin hota. Bohut sey naujawan namaz parhney mein iss liye bhi kotahi kartey hain kay woh inn qatro'n ko paleed samajhtey hain hala'n kay yeh qatrey napaak nahin hotey. Iss soorat mein sirf penis ko dho lena aur wuzu kar lena kafi hai. Kya naujawano'n ko yeh nahin ma'aloom hona chahiyie kay mani (seminal fluid) koi qeemti cheez nahin aur na hi peeshab pakahnaey ki tarah napaak hai. Khush mani ko ragerr kar saaf kya ja sakta hai. Isi tarah kya naujawano'n ko yeh ilm nahin hona chahiyie kay