Download Urdu Pdf

First Night Of Marriage - Shadi Ki Pehli Raat

Humarey yahan first night of marriage (shadi ki pehli raat) mubashrat (intercourse)  ko zaroori samajha jata hai Warna valima jaeyz naa hoga. Quran o Sunnah ki roshni mein iss baat ki koi haqeeqat nahi hai. Humarey yahan amooman nikah raat ko bohut late hota hai. Dulhan ko ghar pohonchtey pohonchtey raat kay 2 ya 2 ½ baj jatey hain jis ki wajah sey dulha aur dulhan thak kar choor ho jatey hain. Thakawat kay elawa donon khauf, ghabrahat aur jhijhak ka shikar bhi hotey hain. Khusoosan agar donon pehley sey ek doosrey sey waqif na hun.

 Larkay ko amooman nakami jab kay larki ko mubashrat (intercourse)  ki takleef ka khauf hota hai. Iss khauf aur anxiety  ki wajah sey amooman aurat ki faraj ki entrance tang hojati hai aur faraj kay ander chiknaahat ki kami bhi hojaati hai jis ki wajah sey dakhool aur mubashrat (intercourse)  takleef dey hojata hai. Doosri taraf larka samajhta hai kay agar iss nay pahli night mubashrat (intercourse)  naa kiya to larki samajhai gi kay shayad mian iss qabil nahi (halan kay aurtein amooman iss tarhan nahi sochtiin) jawani mein har mard jismani lehaz sey normal aur jinsi amal ka puri tarhan sey ahull hota hai. Albatta khauf aur zehni  dabao ki wajah sey baaz auqat isey tanau (erection) nahi hota yeh aain time per khatam hojata hai jokay aik fitri amal hai. Kyun kay khauf, zehni  dabao aur tension tanau (erection) kay dushman hain. Lehaza iss sorat-e-haal kay paesh-e-nazar pehli raat sex ko ziyada ahmiyat naa di jaey Chunancha pehli raat mubashrat (intercourse)  naa karna donon kay liye mufeed hai. Waisey bhi pehli raat mubashrat (intercourse)  donon kay liye kisi had tak takleef deh hoti hai. Thakawat aur tension mein yeh takleef ziyada mehsoos hoti hai.

    Behtar hai kay pehli raat donon mian biwi ghup shup karein. Ek doosrey sey waqfiyat hasil kareyn ek doosrey sey maanoos hun

Ek doosrey ko samjhein, ek doosrey ki pasand naa pasand, jazbaat ehsaasaat aur khwahishat sey aagahi  hasil kareyn. Mubashrat (intercourse)  kay elawa kaee doosrey tareeqon sey bhi jinsi lutf hasil kiya ja sakta hai. Maslan piyar Mohabbat ki baatein, aurat ko Mohabbat ki baatein bey hud pasand hain. Mian biwi kay husun-o-jamal ki tareef karey. Donon kiss sey lutf andooz hun. Aik doosrey kay jism kay lamz sey lazat hasil kareyn. Ek doosrey kay jism per hath phaerein, massage kareyn. Biwi ko galey lagain, bhenchain, baghal geer hun, iss kay saath liptein, yeh sab kuch donon kay liye bohut lutf angaez hoga. Phir aik doosrey kay saath lipat kar so jaeyn lekin agar donon ek doosrey sey pehley hi waqif hun to bhi pehli raat mubashrat (intercourse)  zaroori nahi hai. Amooman thakawat ki wajah sey donon zyada lutf andooz nahi hotey. Agar donon fresh hun, razi hun, to phir mubashrat (intercourse)  mein koi harj nahi. lekin agar biwi zyada khauf zada hai yeh isey bohut zyada dard mehsoos ho to phir mubashrat (intercourse) naa kareyn. Biwi kay ta'awwun aur razamandi kay baghaer zabardasti mubashrat (intercourse)  naa ki jaey. Iss sey biwi kay dil mein nafrat paeda ho jati hai baaz auqat iss nafrat ki wajah sey biwi aik taweel arsey mubashrat (intercourse)  sey lutf andooz nahi ho sakti aur mubashrat (intercourse)  aur jinsi amal mein bhar poor shirkat nahi karti.

    Tahem behtar yehi hai kay pehley ek do din ek doosrey ko samajhney, maanoos honay, ek doosrey kay jazbat o ehsaasat, khwahishat, pasand aur naa pasand ko janney mein guzarein. Mubashrat (intercourse)  ko ek do din multawi karna donon kay liye bey hudd mufeed hai. Iss sey aurat ka khauf kam hojata hai, woh zyada ta'awwun karti hai.