Download Urdu Pdf

Mubashrat Kay Aadaab

  Baghaer baazu wali kursi, cushion wali sukht bister, sukht mattress, do takyay sukht mubashrat kay waqt kamar kay neechey rakhney kay liye, do narm soney kay liye, chiknaahat koi achi cold cream paani mein hul honey wali jelly, badaam, coconut ya zaetun ka oil, Vaseline aur petroleum jelly hargiz istimaal na karein. Yeh faraj mein ja kar jum jati hai jis sey infection ka khatra hota hai. Safaee kay teen kaprey hun ek mota aur bara neechey bichaney kay liye, baqi do mia'n biwi kay liye.
     Mubashrat sey bharpoor lutf andoz honay kay liye mundarja zael ka khayal rakhna mufeed hoga.
  1. Behter hai kay mubashrat kay din pehley sey taey shuda ho ya mia'n biwi ek doosrey ko waze'h isharey dein kay jinsi amal ka program hoga , waisey to koi bhi din ho sakta hai magar islam mein juma'a (friday) kay din ghusal ki fazeelat hai yani mubashrat juma'araat (thursday) ki raat ya juma'a sey pehley afzal hai. Hadees e nabvi hai kay jo koi juma'a kay din(apni biwi kay liye) ghusal ka saamaan karey aur khud ghusal karey, to us kay liye har qadam saal bhar kay amal ka badla hai goya saal bhar rozey sey raha aur unn ki raato'n mein qayam kya. (mishkat)
Ek doosri hadees mein irshaad hai: Jo koi juma'a kay din ghusl e janabat karta hai phir (juma'a ki namaz kay liye) sawaerey nikalta hai to goya us ney oou'nt (camel) ki qurbani paesh ki. (bukhari)

 Intercourse Preparation
    2.  Mubashrat kisi bhi waqt ki ja sakti hai din ho ya raat, taa'hum nabi kareem aksar raat kay pichley peher witr ki namaz ada karney kay baad mubashrat farmatey thay, iss waqt amooman fard zyada pur sukoon hota hai aur jald manzil nahin hota.
    3.  Jinsi amal kay liye baqa'eda tayyari ki jaey, khawand jald ghar aa jaey, biwi bhi jald kam khatam kar ley, bacho'n ko sula dey, mia'n biwi thakey huey na hun jismani aur zehni tor per pur sukoon hun khauf, pareshaani aur thakawat waghaera main mubashrat na ki jaey iss surat mein fard bharpoor lutf andoz nahin hota. Iss sham khana kam aur jald kha liya jaey, ghiza zood hazam ho yani mubashrat kay waqt paet bhara hua na ho.
    4.  Kamra aisa ho jahan sey aawazei'n doosrey kamro'n tak na pohonch sakein mubashrat kay doran fard jinsi haejaan mein aawazei'n nikalta hai, naey shaadi shuda couple mein iss ka khauf hota hai kay inn ki aawazei'n log na sun lein yeh khauf unn kay jazbaat ko sard kar deta hai iss surat mein halka phulka music lagaya ja sakta hai taa kay aawazei'n kamrey sey baher na jaein. Kamrey ka temperature munasib ho na garmi ho na sardi yani jagah pur sukoon ho, shor o ghul aur madaakhlat sey mehfooz, phone utaar dei'n warna phone ki ghanti aap kay jazbaat ko ek dum sard kar degi.
    5.  Donon mia'n biwi kay jism saaf suthrey aur har qism ki buu se paak hun, behter hai kay sham ko ghusal kar liya jaey, agar bathroom bedroom kay sath ho to mubashrat sey ek ghanta pehley donon ikaththey ek doosrey ko ghusal dein maqsad mael utaarna nahin bul kay ek doosrey kay lums sey lutf andooz hona hai, brush kar liya jaey taa kay muu'nh sey budbuu(smell) na aaey.