Download Urdu Pdf

Pious Woman In Islam

Pious Woman In Islam
 
 (aisi aurat) Jisko woh jo hukum dey to woh uss per foran amal karey uski taraf dekhey to woh uska dil khush kardey, usko qasam dey to woh qasam ko poora karey aur woh ghayab ho to woh apni asmat aur uss kay maal ki hifazat karey (ibn-e-maja) Hazrat Muhammad ney ek aur moqa per farmaya " Uss zaat ki qasam jis kay qabzey mein meri jaan hai, jo shakhs bhi apni biwi ko bister per bulaey aur woh inkaar karey to Aasmaan wala uss sey uss waqt tak naraz hota hai jab tak woh apney shohar ko razi na karey" (bukhari, muslim) Ek doosri hadees mein irshad hai "shohar jab apni biwi ko apney bister per bulaey  aur woh aaney sey inkaar kar dey to farishtey subah tak uss per la'anat kartey rehtey hain." (bukhari) Ek aur jagah irshaad farmaya : "shohar jab apni biwi ko zaroorat kay liye bulaey to woh foran us kay liye hazir ho jaey, go woh tanoor per bethi ho(roti paka rahi ho)" (tirmazi).
    Allah kay nabi ne biwi ko khawand ki ijazat kay baghair nafli namaz aur nafli rozey rakhney sey mana farmaya hai. (bukhari) Hazrat Muhammad ney aurat ko dunya ki  behetreen mata'a qarar diya hai, irshaad hai kay sari dunya mata'a hai aur dunya ki behetreen mata'a (Pious Woman) naek bakht aurat hai. (muslim) Pious woman (Naek bakht aurat) ko jannat ki basharat di gaee hai, Hazrat Muhammad ne farmaya kay jo aurat paanch waqt ki namaz parhti rahey, ramazan kay rozey rakhey, apni aabroo bachaey yani paak daaman rahey aur apney shohar ki ta'abedaari aur farma'n bardaari karti rahey to usey ikhtiyar hai kay jis darwazey sey chahey jannat mein chali jaey. Ek aur jagah huzoor ney irshaad farmaya kay jo aurat iss haalat mein mari kay shohar razi tha woh jannat mein daakhil ho gaee, (tirmazi) ta'ahum gunah kay kaam mein aurat khawand ka hukum na maney gi. 

Husband And Wife In Islam :  Aurton ki aksaryat ko apney khawand ki wajah sey mua'ashrey mein buland maqam milta hai maslan doctor ki biwi, aalim ki biwi, ek crore pati ki biwi, ek adeeb ki hatta kay ek wazeer ki biwi waghaira ko mua'ashrey mein jo maqam hasil hota hai iss kay husool mein uska koi khaas kirdaar nahin hota, magar ba'az auqaat ma'amooli sey ikhtilaaf ki wajah sey aurat khawand ki na shukri kar guzarti hai yeh na shukri bohut bara gunah hai. Hazrat Muhammad ney farmaya : meiney aaj (dozakh) ki tarah koi darauni cheez nahin dekhi, meiney dekha iss mein aurtein bohut hain, logon ney arz kya ya rasool Allah iss ki  kya wajah hai? Aap ney farmaya : yehi kufr, logon ney arz kya kya Allah sey kfur? Aap ney farmaya : nahin, khawand ka kufr (na shukri) ahsaan na man'na. Aurat ka yeh haal hai kay agar tu umar bhar uss kay sath ahsaan karta rahey phir koi baat tumhari taraf sey unn ki tabyat kay khilaf ho gaee to bol uthey gi kay meiney kabhi bhi tum sey koi behetri nahin dekhi (bukhari). Hazrat Sobaan kehtey hain kay Rasool Allah ney farmaya kay jo aurat bila wajah apney shohar sey talaq chahey, uss per jannat ki bu haram hai. (ibn-e-maja, ahmed, tirmazi, darmi). Hazrat Muhammad ney farmaya kay teen tarah kay aadmi aisey hain jin ki na namaz qabool hoti hai, na koi aur neki manzoor hoti hai, ek wo aurat jis ka shohar uss sey naraz ho, doosra woh jo nashey mein mast ho, teesra woh musalmaan bhai jo ek doosrey ko kisi dunyavi wajah sey chortey hain.(ibn-e-maja) Islam mein mard kay liye sab sey muhatram uski walida hai aur aurat kay liye uska khawand, donon ki narazgi sey bachna chahiyie. 

Suitable Age For Marriage
Shaadi kay hawaley sey chund cheezon ko malhooz-e-khatir rakhna mufeed hoga aurat kay liye shaadi ki behetreen umar 20 ta 25 saal hai iss doran mein paeda honey wali aulaad sehat mand hoti hai, mard kay liye shaadi kay liye behtarin umar 25 ta 27 saal hai waise 30 saal tak bhi theek hai, behter yeh hai shaadi kay waqt aurat ki umar mard se 5 ta 10 saal choti ho kyun kay bachon ki paedaesh ki wajah sey aurat ka jism jald dhal jata hai jiski wajah sey aurat mein kashish kam ho jati hai, agar biwi ki umar kam hogi to uski jismani kashish zyada der tak barqaraar rahey gi. Waisey bhi aurat jismani aur zehni le'haz sey mard ki nisbat jald mature ho jati hai larki ki umar kisi bhi tarah larkey sey zyada nahin honi chahiyie.
    Mangni aur shaadi kay darmyan zyada lamba arsa nahin hona chahiyie, zyada sey zyada ek saal ka waqfa ho agar darmyani waqfa zyada lamba ho to donon khusoosan mard shadeed jhunjhalahat ka shikar ho jata hai. Shaadi ki date taey kartey waqt haez (menses) ka bhi zaroor dhayan rakha jaey aisa na ho kay shaadi kay ek aadh din baad maahwaari  shuru ho jaey, iss sey khawand shadeed jismani tanau ka shikar hoga le'haza shaadi ki date maahwaari kay 8 din ba'ad ki rakhi jaey taa kay donon mian biwi mubashirat sey bharpoor lutf andoz ho sakein. Haez (menses) kay foran ba'ad aurat kay jinsi jazbaat amooman madh'dham par jatey hain inn dinon iski tabyat mein chirchira pan, afsurdagi aur bey chaeni paeda ho jati hai.
    Shaadi dhoom dhaam sey honi chahiyie taa kay har kisi kay ilm mein ho kay 'uski' shaadi ho gaee hai. Irshad-e-nabvi hai kay :"Nikah ka ailaan masjid mein karo aur iss per duf peeto (kay khoob ailaan ho)" (tirmazi)