Download Urdu Pdf

Important Factors For Marriage

Islam mein khufya shaadi sey mana kya gaya hai, ba'az fuqha'a kay nazdeek khufya shaadi zina kay baraber hai. Hazrat Muhammad ka irshaad hai kay halal-o-haram mein hadd e faazil nikah ki shuhrat aur duf hai. (tirmazi)

    Shaadi kartey waqt iss cheez ka bhi dhayan rakha jaey kay donon mian biwi kay qad chotey na hun aisi surat mein usool e wirasat kay mutabiq aksar bachon kay qad chotey honge jis ki wajah sey yeh bachay ehsaas e kamtari ka shikar ho jaengey aur bachiyon ki shadiyon mein masa'il paeda hongay, yani donon mein sey ek ka qad laziman lamba hona chahiyie. Iss tarah donon mian biwi kay rung bhi zyada sa'nwley nahin honey chiahiyien iss surat mein bhi usool-e-wirasat kay tehet aksar bachon kay rung sa'nwley hongey aur yeh becharey ehsaas-e-kamtari mein mubtala ho jaeingey mazeed bar aa'n larkiyon ki shaadi mein diqqat paesh aaegi chuna'ncha behter yahi hai kay mian biwi mein sey ek ka rung zaroor gora hona chahiyie. 

Intercourse - Mubashrat

Shaadi ki bunyad mubashrat hai magar humarey haan aksar log iss ki alif bay sey bhi waqif nahin yaqeen karein kuch logon ko to yeh bhi ma'aloom nahin kay mubashrat kahan hoti hai woh exact jagah konsi hai? Iss silsilay mein humari khawateen ki ma'aloomaat to na honey kay baraber hain jis ki wajah sey woh azdwajii zindagi sey bharpoor andaaz sey lutf andooz nahin hotiin bul kay aksar to shadeed jhunjhalahat (frustration) ka shikar hoti rehti hain.
            Humarey haan amooman mubashrat ko achi cheez nahin samjha jata jis ki wajah sey aksar khawateen jinsi amal mein bharpoor shirkat aur ta'awwun nahin kartiin nateejatan woh khud bhi aksar auqaat azdwajii lutf sey mehroom rehti hain aur khawand bhi bharpoor jinsi sukoon aur lutf hasil nahin kar pata. Haala'n kay islam mein shadi kay ba'ad mubashrat koi na pasandeeda cheez nahin bul kay Allah kay nabi ney mubashrat ko naekii aur sadqa qaraar diya hai jis ka sawab milta hai.(muslim) aur agar biwi ta'awwun na karey to woh gunah ki murtakib hoti hai. (bukhari)
            Aksar khawateen kay nazdeek mubashrat ek takleef deh cheez hai aur woh iss se khauf zada hoti hain chuna'ncha mubashrat kay iss khud saakhta khauf ki wajah se inn ka jism tann aur akar jata hai, khusoosan faraj (vagina) kay muscles tann jatey hain jis ki wajah se mubashrat ka amal takleef deh ho jata hai.