Download Urdu Pdf

First Intercourse Male Problems

Pehli Mubashrat Kay Masail

Mardon Kay Masail

    Shadi kay hawaley sey mardon ka ahem tareen masla mubashrat (intercourse)  mein naakami ka khauf hota hai. Insan ghalat tor per samajhta hai kay shayad woh shaadi kay qabil nahi aur mubashrat (intercourse)  nahi kar sakey ga. Insan jaisey sochta hai waisey hi hojata hai. Iss soorat mein iss khauf ki wajah sey amooman insan ko mubashrat kay liye matlooba tanau (erection) nahi hota jis ki wajah sey dakhool na mumkin  hojata hai. Iss soorat mein awwal to tanau (erection) hota hi nahi, ya phir bohut hi mamooli hota hai. Teesri soorat yeh hoti hai kay isey tanau (erection) bilkul theek hota hai magar dakhool kay waqt yakdam khatam hojata hai jis ki wajah sey insan sharminda aur pareshan hojata hai. Jawani mein yeh masla taqreeban kabhi jismani nahi hota. Agar aap ko kisi bhi waqt khusoosan subha kay waqt tanau (erection) hota hai to aap bilkiul normal hain aap ka masla nafsiyati hai. Sex kay hawaley sey hamari society mein pheli hui bey shumaar ghalat baaton (jin mein sey ahem ka zikar book kay shuru mein mojood hai) ki wajah sey aksar naujawan apney aap ko ghalat tor per mardana kamzori ka shikar samajh letey hain. Inhein khauf hota hai kay woh mubashrat (intercourse)  mein nakam hojaein gey inn khadshaat aur khauf ki wajah sey insan mubashrat (intercourse)  mein nakam hojata hai aisi soorat mein aap bilkul pur sukoon rahein. 2 weeks kay liye mubashrat (intercourse) naa karein magar rozana foreplay karein. Bharpoor tanau (erection) ki soorat mein bhi mubashrat (intercourse)  sey bachein. InshaAllah 2 week baad aap ka masla khatam hojaey ga. Basorat deegar kisi achey mahir e nafsiyat sey raabta karein. Waisey iss book mein iss masley ka hal mojood hai. Iss sey faida uthaien.