Download Urdu Pdf

aurton ke masail in urdu


Khawateen Kay Ahem Jinsi Mughalitey
(Female Sexual Misconceptions)

Mardon ki tarah aurtein bhi bohut sey jinsi maghaliton (sexual misconceptions) ka shikar hain jo inki azdwajii khushyion mein bohut bari rukawat sabit hote hain. Azdwajii khushyion kay liye khawateen ko na sirf apney bul kay mardon kay jinsi mughaliton ka zikar lya jaey (in mughaliton ka tafseeli zikar humari doosri kitab "Sex Education…Sab Kay Liye" mein mojood hai iss hawaley sey iss kitab ka muta'alla mufeed rahey ga) taa'hum khawateen kay chund ahem jinsi mughlitey kuch yun hain :
  1. Mahwaari ya haez (menses) amooman takleef deh cheez nahin aksar khawateen ki maahwaari bilkul normal hoti hai aur unhein koi khaas takleef nahin hoti albatta kuch khawateen maahwaari kay dauraan kamar dard, sar dard aur paet dard waghaera mehsoos karti hain, maahwaari ka aana kisi bhi larki kay liye kisi bhi tarah tashweesh ka baa'iss nahin hona chahiyie, larki ko ba'khoobi samajh lena chahiyie kay yeh ek fitri jismaani amal hai
  2. Mubashrat koi buri cheez nahin aur na hi yeh ek takleef deh amar hai agarcha ba'az khawateen ko ibtida mein chund baar mubashrat mein qadrey takleef hoti hai taa'hum baad mein yeh amal normal ho jata hai mubashrat ka amal na sirf naeki aur sadqa hai bul kay donon kay liye bohut hi pur lutf amal hai. 
     
    Female Sexual Misconceptions
        3. Mubashrat mein aurat ka har baar Orgasm (intiha e lazzat) hasil karma zaroori nahin bohut si aurtein har baar orgasm hasil nahin kartiin magar unki azdwajii zindagi bohut khushgawar hoti hai.
        4. Jinsi lutf aur bachay ki paedaesh kay liye mubashrat mein donon mian biwi ka ba'yak waqt orgasm hasil karna zaroori nahin.
        5. Mardon ki tarah aurtein bhi fitri tor per sex sey lutf andoz hoti hain aut mard aisi aurat ko pasand kartey hain jo unn kay sath sex ko pasand karti hain.
        6. Kasrat e Mubashrat (frequent intercourse) aurat ki sehat kay liye nuqsan deh nahin chahey yeh kitni hi baar kyun na ki jaey, orgasm aurat ki sehat kay liye mufeed hai.
        7. Leucorrhea koi beemari nahin aur na hi iss ka ilaaj karane ki zaroorat hai albatta agar pani ka ikhraaj bohut zyada hoga, gaarha ya badboodaar ho to yeh amooman faraj (vagina) ki infection ki wajah sey hota hai.
        8. Mahwari (menses) bund honay per aurat ki jinsi khwahish khatam nahin ho jati bul kay aurat aakhri saans tak sex sey lutf andoz ho sakti hai.