Download Urdu Pdf

Premature Ejaculation - Mardana Jinsi Kamzori

Doosra masla premature ejaculation (surat e inzal) ka hai. Mardon ki seminal vesicles amooman 3.5 days mein bhar jati hain. Phir woh ekhraj ka taqaza karti hain. Mukhtalif wajoohaat ki bina per ghaer shadi shuda mard ki mani (semen) ka regular ekhraj nahi hota Chunancha yeh bhari hui naaliyen mamoli jinsi stimulation sey mani (semen) ko bahir nikal deti hain iss tarhan mard jald discharge hojata hai baaz auqat to dakhool ki koshish hi mein discharge ho jata hai. Iss soorat e hal mein mard shadeed sharmindigi mehsoos karta hai. Yeh koi jismani beemari nahi aur naa hi mardana jinsi kamzori ki alamat hai.

Lehaza aap parisshan naah on, pursukoon rahein. ( Iss book mein iss masley kay bohut sey hal mojood hain jin ka zikar muta'alliqa baab mein hoga) aur 1 – 2 hours kay baad jinsi khail shuru karein to thori deyr mein aap phir jiinsi amal kay liye tayyar hojaein gey to aap dubara mubashrat (intercourse)  karein. Iss bar aap ki karkardagi bohut behtar hogi. Aa'enda bhi kuch arsa rozanaa dubara mubashrat (intercourse)  karein to aap ki karkardegi behtar rahaigi.

Aurton Kay Masail

    Shadi kay shuru kay days mein bohut si aurtein agarcha foreplay aur mubashrat (intercourse)  sey lutf andooz hoti hain magar inki aik bari tadaad fitri tor per orgasm hasil nahi kar paati. Iss ka zimadar amooman mard nahi hota. Agarcha woh mard jo surat e inzaal ka shikar hotey hain woh iss masley ki wajah sey biwi ko mutmain nahi kar  paatey. Aurton ki aik bohut bari tadaad sirf mubashrat (intercourse)  sey orgasm hasil nahi kart sakti. Kuch aurtein jawani kay shuru kay saal mein fitri tor per orgasm hasil karney sey mehroom rehti hain. Aisi khawateen ko to baqaida orgasm hasil karna seekhna parta hai. Orgasm waley hissey mein iss mozoo per tafseeli guftogu hogi.

    Aurton ki aik bohut mamooli tadaad ko mubashrat (intercourse)  ka bey hud khauf hota hai jis ki wajah sey mubashrat (intercourse)  kay waqt inkay jism khusoosan taangein akar jaati hain aur faraj ka mu'nh bilkul band ho jata hai jis ki wajah sey mubashrat (intercourse)  na mumkin hojata hai. Yeh aik beemari hai jis ka elaj bohut aasan hai. Iss ka tafseeli zikar agai aiga. Baaz aurton ko yeh masla nahi hota magar phir inkay liye dakhool bohut takleef deh bul kay naa mumkin hota hai. Iss ki wajah yeh hoti hai kay kuch khawateen ka parda e bakarat (Hymen) sakt aur mota hota hai jo dakhool mein rukawat banta hai. Aisi sorat mein kisi lady doctor sey rabta kiya jaey mamoli operation sey yeh masla hal ho jata hai.